Saturday, 12 December 2015

Totkay For Hair In Urdu

Totkay For Hair In Urdu
Baloon ki khush aur sikri khatam karne ke liye haftay main aik dafa do

chammach dahi ,aik  chamach serson ka oil aur aik chamach shakker mix ker

kay balon ki jaron main lagaen phir aik ghantay baad sirf pani se baal dho ker so

jaen subha uth ker shampo se dho lain khushki aur sikri door rahe gi.


Balon ka do mohe hona
Is maslay ke liye her teesray din balon main tail ki malish kiya karain aur

khuraak main anday ,dalain ,gosht aur salad istamal karain.


Baal lambay karna(long hair)
Is ke liye aamla ,reetha aur sikakae baraber miqdaar main raat ko bhigo dain aur

subha pees ker ser main laga lain do ghantay baad dho lain baal lambay ho jaen

ge.


Balon ka girna(Hair falling)
Girtay hoe baalon ko roknay ke liye rozana kalonji ka oil baalon main lagaen.


Baal safaid hona
Is ke liye rozan baalon main zaiton ka oil lagaya karain.


Baalon ka totna
Mehndi ke pattay serson ke tail mian tal lain aur oil thanda hone per nithaar lain

is tail ko ser per lagaya karain baal totna band ho jaen ge.


Baal kalay siyah karna
Haftay main do baar aamlay aur bhiron ka safoof raat ko lohe ke bertan main

bhigo dain subha is se baal dho lain baal kalay ho jaen ge.