Aankhon (eye) keTotkay In Urdu
Sonf aur shaker ko mila ker rozana khanay se benae taiz ho jati he.
Ankhon ki surkhi door karna
Bakri ke dood main roe ka tukra bhigo ker aankhon per rakhnay se aankhon ki surkhi door hojati he.
Palkain lambi karna(long eyelashes)
Dood ko garam kerkay is main falaleen ke kapray ko bhigo ker nichor ke aankhon per rakhain jab kapra thanda ho jae to dobara ye amal dohraen is terhaan chaar baar karain chand dinon main palkain lambi aur aankhain khobsorat hojaen gi.
Bhawain ghani karna(thick eyebrows)
Rozana sotay waqat bhawon per serson ka tail lagaya karain.
Aankh main palak ya koi zarra per jana
Aik khulay moon ka bertan lain is main pani bher lain is main aakh daal ker kholain aur band karain jo cheez gae he nikal jae ge.
Ankhon ki kharish
Ankhon main do drop arqe gulaab ke daal lain.
Ankhon se pani aana
Is ke liye khalis arqe gulaab aankhon main dalain.
Motya ka ilaaj(cataract)
Ager ibtadai motia main rozana aankhon ko khalis arqe gulaab se dho ker khalis shehad ki aik aik salae aankhon main lagae jae to motia khatam hojata he.
No comments:
Post a Comment