Monday, 1 February 2016

Aankho (eye)keTotkay In Urdu

Aankhon (eye) keTotkay  In Urdu
 
Nazer taiz karna
Sonf aur shaker ko mila ker rozana khanay se benae taiz ho jati he.

Ankhon ki surkhi door karna
Bakri ke dood main roe ka tukra bhigo ker aankhon per rakhnay se aankhon ki surkhi door hojati he.

Palkain lambi karna(long eyelashes)
Dood ko garam kerkay is main falaleen ke kapray ko bhigo ker nichor ke aankhon per rakhain jab kapra thanda ho jae to dobara ye amal dohraen is terhaan chaar baar karain  chand dinon main palkain lambi aur aankhain khobsorat hojaen gi.

Bhawain ghani karna(thick eyebrows)
Rozana sotay waqat bhawon per serson ka tail lagaya karain.

Aankh main palak ya koi zarra per jana
Aik khulay moon ka bertan lain is main pani bher lain is main aakh daal ker kholain aur band karain jo cheez gae he nikal jae ge.

Ankhon ki kharish
Ankhon main do drop arqe gulaab ke daal lain.

Ankhon se pani aana
Is ke liye khalis arqe gulaab aankhon main dalain.

Motya ka ilaaj(cataract)
Ager ibtadai motia main rozana aankhon ko khalis arqe gulaab se dho ker khalis shehad ki aik aik salae aankhon main lagae jae to motia khatam hojata he.

Saturday, 12 December 2015

Totkay For Hair In Urdu

Totkay For Hair In Urdu
Baloon ki khush aur sikri khatam karne ke liye haftay main aik dafa do

chammach dahi ,aik  chamach serson ka oil aur aik chamach shakker mix ker

kay balon ki jaron main lagaen phir aik ghantay baad sirf pani se baal dho ker so

jaen subha uth ker shampo se dho lain khushki aur sikri door rahe gi.


Balon ka do mohe hona
Is maslay ke liye her teesray din balon main tail ki malish kiya karain aur

khuraak main anday ,dalain ,gosht aur salad istamal karain.


Baal lambay karna(long hair)
Is ke liye aamla ,reetha aur sikakae baraber miqdaar main raat ko bhigo dain aur

subha pees ker ser main laga lain do ghantay baad dho lain baal lambay ho jaen

ge.


Balon ka girna(Hair falling)
Girtay hoe baalon ko roknay ke liye rozana kalonji ka oil baalon main lagaen.


Baal safaid hona
Is ke liye rozan baalon main zaiton ka oil lagaya karain.


Baalon ka totna
Mehndi ke pattay serson ke tail mian tal lain aur oil thanda hone per nithaar lain

is tail ko ser per lagaya karain baal totna band ho jaen ge.


Baal kalay siyah karna
Haftay main do baar aamlay aur bhiron ka safoof raat ko lohe ke bertan main

bhigo dain subha is se baal dho lain baal kalay ho jaen ge.

Saturday, 7 November 2015

Cancer Se Bachao

Cancer Se Bachao
Indian dishes main haldi (turmeric) ka istamal kiya jata he.Cancer se hifazat ke liye khanon main haldi ka istamal zaror karna chahiye kyun ke haldi main aisay ajza hotay hain jo bohat se qisam ke cancer ke khilaaf resistance power produce kertay hain.Jo loog apnay khanon main turmeric ka istamal kertay hain wo cancer ka bohat kam shikaar hotay hain.